Concept n Design By: Munir Armaan Nasimi



Concept n Design By: Munir Armaan Nasimi

نذر منیر ارمان نسیمی



http://draabarqi.tripod.com/

غزل سھل ممتنع : انتظار






Ghazal : Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Usne kaha tha aaoonga kal
Ginta tha main ek ek pal

Kal aayaa aur guzar gaya
Aaya nahin woh jaan e ghazal

Dekh raha hoon uski raah
Pad gaye peshani par bal

Pooch raha hoon logon se
Jhank rahe hain sabhi baghal

Bool utha mujh se yeh raqeeb
Meri tarah ab tu bhi jal

Koi nahin hai uske siwa
Kare jo meri mushkil hal

Aati hai jab uski yaad
Man ho jata hai chanchal

Uska kheram e naaz na pooch
Khati ho jaise naagin bal

Soz e duroon jab laya rang
Shama e mohabbat gaii pighal

Aa gaya ab woh laut ke ghar
Uska iradah gayaa badal

Ahmad Ali Barqi hai shaad
Us ki tabiat gaii sanbhal

Ghazal "Baang e Jaras":Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi





ग़ज़ल
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी

इतना न खींचो हो गया बस
टूट न जाए तारे नफस

थीरीँ बयानी उसकी मेरे
घोलती है कानोँ मेँ रस

खाती हैँ बल नागिन की तरह
डर है न लेँ यह ज़ुलफेँ डस

उसका मनाना मुशकिल है
होता नहीँ वह टस से मस

वादा है उसका वादए हश्र
अभी तो गुज़रे हैँ चंद बरस

फूल उन्होँ ने बाँट लिए
मुझको मिले हैँ ख़ारो ख़स

सुबह हुई अब आँखेँ खोल
सुनता नहीँ क्या बाँगे जरस

उसने ढाए इतने ज़ुल्म
मैँने कहा अब बस बस बस

बर्क़ी को है जिस से उम्मीद
उसको नहीँ आता है तरस


Ghazal : BAANG-e-JARAS


Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi

Itna na kheencho Ho gaya Bas
Toot na Jaaye Taar-e-Nafas

Sheeren Bayani Uski Mere
Gholti hai KaanoN main Ras

Khati hai Bal Naagin ki Tarah
Darr hai na lein yeh Zulfein Das

Uska Manaa-na Mushkil Hai
Hota nahin woh Tas se Mas

Wada hai Uska Wada-e-Hashr
Abhi to Guzre hain Chand Baras

Phool unhoN ne Baant Liye
Mujhko Mile hain Khaar o Khas

Subh hoyi Ab Aankhein khol
Sunta nahin kya Bang e Jaras

Usne itne Dhaaye Zulam
Main ne kaha ab bas bas bas

Barqi ko jis se hai ummeed
Usko nahin aata hai taras

ग़ज़ल :डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी





ग़ज़ल
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी

जिस परी पैकर से मुझको प्यार है
वह मुसलसल दरपए आज़ार है

ख़ानए दील मेँ मकीँ है वह मेरे
फिर न जाने कैसी यह दीवार है

कर दिया है जिस ने दोनोँ को जुदा
जिस से रबते बाहमी दुशवार है

है ख़ेज़ाँ दीदह बहारे जाँफेज़ा
दूर जब से मूझसे मेरा यार है

उसके इस तर्ज़े तग़ाफ़ुल के सबब
ज़ेहन पर हर वक्त मेरे बार है

उसका तरज़े कार तो ऐसा न था
पहले था एक़रार अब इंकार है

क्या बताए अपनी बर्क़ी सरगुज़श्त
हाले दिल नाक़ाबिले इज़हार है

Dr, AHmad Ali Barqi SaaHib kee nazr!

Dr, AHmad Ali Barqi SaaHib kee nazr!
by Muzaffar Ahmad Muzaffar

Aadaab Barqi SaaHib!

nazr A'li AHmad Barqi

dil ko jeete shaokhee-e-Guftaar se!
Zindagee phooTe tere asha'aar se!

raqS kartee hai naseem-e-SubH jab
tu agar guzre kabhee gulzaar se!

jazbah-e-dil kaa t^ilism-e-gul fishaaN
Saaf z^aahir hai tere asha'aar se!

yeh tera Ganjeenah-e-Harf-o-hunar
Qeematee hai darham-o-deenaas se!

tere reshHaat-e-qalam kee shaokhiyaaN
tez haiN :Barqi: yeh har talwaar se!

moa'tarif teree sukhan goee ka hooN
keh gaee dunya lab-e-iz^har se!

ho agar mumkin mujheY AHmad A'li
ser* kar de sharbat-e-deedaar se!

*ser=bhara huwa, Aasudah

Muzaffar A Muzaffar
Sael-e-Chashm-e-tar Muzaffar laakh jaaN lewaa sahee
ham ne bhee jeene kee lekin hai qasam khaaee huee!
Muzaffar Ahmad Muzaffar
Admin


Posts: 1129
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: Bazm-e-Urdu Bandhan



--------------------------------------------------------------------------------

شربت دیدار سے ہونا اگر ہے شاد کام
دیکھئے جا کربلاگ اسپاٹ پرمیرابلاگ

aabarqi.blogspot.com


Nazm In The Form Of Ghazal :Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi




moHtaram Barqi SaaHib aadaab!

kese mizaaj haiN. aap kee naz^m baSurat-e-Ghazal dekhee kiya kehne rawaane aor barjastagee kee aek raoshan aor taabindah micaal hai. re'naaee-e-kheyaal aor parwaaz-e-takhaiyyul apnee jagah qaabil-e-daad hai. e'laawah azeeN sehle-e-mumtina' meN aek achchee koshish hai. sabhee asha'aar dil ko chu gae. meree jaanib se is kaamyaab takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar


MoHtaram Barqi saheb
aadaasb.




MoHtaram Barqi saheb
aadaab arz hai !
aapkee ghazal paRh kar vafoor.e shoq meiN mubtilaa ho janaa aik fitratee radd.e amal hai.
ghazal iss qadar asarpazeer huee hai k dil kee shaguftgee ke roo.ba.roo gul.e nargis bhee rashk rakhtaa nazar aataa hai.
har sher aapkee pukhtaa mashqee aur baland parwaaz.e takhayyul kaa vo aaienaa hai k har qaaree ba.har soorat apnee eHsaas.e khudee aur mardanaa nematoN ko ba.awwaz.e baland doHrataa dikhaaee detaa hai.
sher kaa har lafz khayaal ke hamraah bayaan kee kaifiyat se laberz hai aur rawaanee vo ke dariyaa.e sukhan bahaaye liye jaatee hai.
ghazal kee khusoosiyat sanjidgee ko purasar saadgee meiN adaa karnaa hai aur aap iss fan meiN kaamyaab haiN.
meri jaanib se aik nihaayat
khoobsoorat aur dilkash ghazal par daad aur mubaarakbaad qabool kareN.
PK Swami

Ghazal :Mushaira urdubandhan:Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi




moHtaram Ahmad Ali Barqi Azmi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Mushae'rah meN aap kee shirkat se jis qadar mujhe khushee aor masarrat kaa eHsaas huwaa hai. use alfaaz^ meN bayaaN karnaa ju-e-sheer lana hai. meree dilee kaefiyat kaa andaazah Sirf maiN hee kar saktaa hooN. so aap kee tashreef aawaree jahaN ham sab ke liye baae'c-e-khushee hai. wahaN aap kee yooN bharpoor aamad baae'c-e-iftekhaar bhee hai. mujhe ummeed hai keh aap yooN hee tashreef laate raheeN ge aor apnee be panah she'eree aor takhleeqee SalaHiyatooN se ehl-e-mejlis ko mustafeed farmaate raheeN ge. inshAllah!

Aap kee t^arHee Ghazal HaseeN alfaaz^ aor purkashish tarakeeb kaa HaseeN imtejaaz hai. jazbah-o-kheyaal jawaN hai. khud aa'temaadee jo aap ke lab-o-lehjah kee pehchaan hai. kalam se Saaf z^aahir hai. zer-e-naz^ar kalam meN saadagee meN purkaaree paedah karne kaa kaamyaab tajrubah kiya geya hai. jo apnee jagah laai'q-e-daad hai. bahai'ciyat-e-majmua'ee Ghazal Ganjeenah-e-lafz^-o-mua'nee bhee hai aor mataa'-e-ranG-e-taGhazzul bhee. har miSra' qaabil taoSeef hai. is meN shubah kee koee gunjaai'sh naheeN keh aap ne apnee zood gaoee ke saath saath fannee pukhtagee ko haath se naheeN jaane diya. aor e'Sree rujHaanaat qalabee waardaat aor TaGhazzul kee chaashnee ne Kalam meN hamAahangee aor nudrat-e-bayaaN kee Aamezish shaamil kar dee hai. jis kee wajah se Ghazal dilkash aor SeHer angeez ho gaee hai.

meree jaanib se is kaamyaab shahkaar kee takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Muzaffar AHmad Muzaffar
Admin
urdubandhan