غزل:بربادیوں کا جشن مناتا چلا گیا





Ghazal

Dr. AHmad A'li Barqee AA'z^mee

a'hd-e-wafaa maiN jitnaa nibhaa taa chalaa gayaa
utnaa hee mujh se door woh jaataa chalaa gayaa

thaa mere dil meiN jo woh sunaataa chalaa gayaa
mehr-o-wafaa ke geet maiN gaataa chalaa gayaa

lekin huwaa nah us peh kisee baat kaa acar
naam-o-nishaaN woh meraa miTaataa chalaa gayaa

maiN is ummeed meiN keh woh shaayad ho mehrbaaN
"barbaadiyoN kaa jashn manaataa chalaa gayaa"

lekin sitam z^areefeey-e-Haalaat dekhie,y
koi,y nah koi,y gul woh khilaataa chalaa gayaa

tarkash meiN jitne teer the uske woh pay ba pay
un kaa hadaf mujhe woh banaataa chalaa gayaa

Haalaat se hameshah naburd aazmaa rahaa
maiN baar-e-zindagee ko uThaataa chalaa gayaa

maeree wafaa se qat^a' naz^ar woh sitam shaa'aar
apnee naz^ar se mujh ko giraataa chalaa gayaa

maeraa junoon-e-shoaq kabhee kam naheeN huwaa
khwaabidah HasratoN ko jagaataa chalaa gayaa

naakaamiyoN se kam nah huwaa maeraa HoSlah
:barqee: qadam maiN aage baRhaataa chalaa gayaa



Offline

Gender:
Posts: 2415





Re: غزل:بربادیوں کا جشن مناتا چلا گیا
« Reply #6 on: Yesterday at 09:59:28 pm »
________________________________________
Quote from: khurshidul Hasan Naiyer on Yesterday at 09:58:45 am
muHtaram Dr. Barqee

salaam-o-raHmah

aap kee Ghazal ka kiyaa kahnaa hai bahut hee shaandaar hai Dr. Sb bahut hee khoob hai. aap kee naz^ar yeh do miSra' hai jo aap kee Ghazal peh daad to naheeN hai lekin zabaan par aagayaa hai to likh de rahaa hooN.

motee-e-Gham ko taar-e-Ghazal meiN piro ke woh
aHbaab ko hunar yeh sikhaataa chalaa gayaa.

aap kee GhazleN is anjuman ko roshan kartee haiN or ham jaise mashqe sukhan karne waaloN ke liye masha'l-e-raah kaa kaam kartee haiN bahut kuchh seekhne ko miltaa.

ek baar phir dilee daad HaZir hai qubool farmaae,N

t^aalib-e-dua'aa

Khurshidul Hasan Naiyer

biraadaram Khurshid SaaHeb:aadaab!

Barqi SaaHeb kee ta'reef meN aap kaa she'r bajaa hai. maiN in se milaa hooN. saraapaa aKhlaaq aur sharaafat kaa paikar haiN. Farsi ke a'alim haiN aur f.ilbadeeh ash,a'ar betakaan kehte haiN-Urdu meN bhee aur Farsi meN bhee! aap ke jaZbaat kee maiN taayeed kartaa hooN.

ek baat aur a'rZ^ karnaa chaahataa hooN. aap ne :motee-e-Gham: baaNdhaa hai jo ma'nee ke liHaaz^ se baa-mauqa' hai lekin apnee bunat meN naaqiS hai. Arabee aur Farsi ke alfaaz^ ko kasrah-e-iZ^aafat (ya'nee iZ^aafat kee zer) se joR kar tarkeeb banaanaa to a'am bhee hai aur qaabil-e-qubool bhee. lekin :motee: Hindi/Hindustanee kaa lafz^ hai aur :Gham: Farsi kaa. in ke darmiyaan iZ^aafar naheeN aa saktee hai. yeh wohee Soorat hai jo :lab-e-saRak: kee hai! aap yooN keh sakte haiN:

motee GhamoN ke taar-e-Ghazal meiN piro ke woh
aHbaab ko hunar yeh sikhaataa chalaa gayaa

ummeed hai keh raawee sab chain boltaa ho gaa!

Sarwar A. Raz :Sarwar

Ghazal:Ahmad Ali Barqi Azmi



GHAZAL
Dr.AHMAD ALI BARQI AZMI

Hai uski fitrat mein bewafaaii woh jab bhi milta hai be rukhi se
Pasand hai usko khud numaaii lagao usko nahin kisi se

Woh baitha rahta hai yunhi gum sum main dekhta hoon yeh bebasi se
Kahoon to kise kahoon yeh us se raha kare woh hansi khushi se

Woh pahle aisa kabhi nahin thaa na jane kya ho gaya hai usko
Kisi ne kuchh kah diya hai shayad woh mujh se hai badgumaan tabhi se

Beghair uske bujha bujha hai bahaar ka khushgawar manzar
Gaya hai naraz ho ke jab se woh mere gulzar e zindagi se

Sab usko hairat se dekhte hain yeh haal hai uska dars e ibrat
Yahi hai anjam e ishq BARQI to baaz aaye ham aashiqi se

Wahi samajhte hain qadr o qeemat jahaan mein aijaz e fikr o fan ki
Jo asr e haazir mein bahrah war hain shaoor o faizan e aagahi se

غزل :مزاج یاربرھم ھو نہ جائے Ghazal:Mizaj e Yaar Barham Ho Na Jaye



غزل :مزاج یاربرھم ھو نہ جائے


Ghazal:Mizaj e Yaar Barham Ho Na Jaye
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Tawajjuh aapki kam ho na jaye
Mizaj e yaar barham ho na jaye

Jo hai shama e shabistan e mohabbat
Kahin lau uski maddham ho na jaye

Junoon e shauq mein mujhko yeh dar hai
Khushi mein zam kahin gham ho na jaye

Neshat o kaif o sarmasti ka saamaan
Achanak bais e gham ho na jaye

Nasheman barq ki zad mein hai mera
Kahin yeh faslah kam ho na jaye

Khamidah pusht hai baar e geraan se
Kahin yeh aur bhi kham ho na jaye

Chalo Ahmad Ali Barqi yahaan se
Kahin duniya jahannum ho na jaye