JASHN E HOLI HAI EK JASHN E RANG


JASHN E HOLI HAI EK JASHN E RANG
AHMAD ALI BARQI AZMI

JASN E KOLI HAI EK JASN E RANG
RANG MEIN IS KE DALIYE MAT BHANG

CHEDYE AISA NAGHMA E JAAN BAKSH
JO HO MEHRO WAFA SE HAM AAHANG

SAB HON KAIF O NISHAAT SE SARSHAAR
KIJIYE AKHTEYAAR AISA DHANG

KIJIYE EHTEMAAM E RAQS O SUROOD
MAIN ABHI LE KE AA RAHA HOON CHANG

AAP KA GHAR AGAR HAI SHEEH MAHAL
MAT UCHHLEIN KISI PE HARGIZ SANG

KIJIYE AMN KI FIZA HAMWAAR
DOOR HO JAYR JIS SE NAFRAT O JANG

KHOON SE MAT KIJIYE ISE LABREZ
AAB E SHIREEN HAI AAB E ROOD E GANG

SHEIKH SAADI KA QAUL YAAD KAREIN
HAI SABHI EK DOOSARE KE ANG

DILKASHI YUNHI YEH RAHE QAEM
JAISI BARQI FIZA HAI RANGA RANG

TOPICAL POETRY ON HOLI:AHMAD ALI BARQI AZMI


POETRY ON HOLI
Ahmad Ali Barqi Azmi

AAYI HOLI KHUSHI KA LE KE PAYAM
AAP SAB DOSTO'N KO MERA SALAM

SAB HAI'N SARSHAAR KAIFO MASTI MEI'N
AAJ KI HAI BAHUT HASI'N YEH SHAAM

SAB RAHE'N KHUSH YEHI DUA HAI MERI
HAR KOI DOOSRO'N KE AAYE KAAM

BHAI CHAARE KI HO FIZA AISI
BADAE ISHQ KA PIYE'N SAB JAAM

HO NA TAFRIIQKOI MAZHAB KI
JASHN KI YEH FIZA HO HAR SOO AAM

AMAN AUR SHANTI KA HO MAHAUL
JANG KA KOI BHI NA LE AB NAAM

RANG MEI'N AB PARHE NA KOI BHANG
SAB KARE'N AIK DOOSRE KO SALAM

RAHE'N MILJUL KE LOG AAPAS MEI'N
AAJ "BARQI" KA HAI YEHI PAIGHAM.