भर दे दिल मेँ यह दिवाली आपके ख़ुशियोँ के रंग: डा. अहमद अली बर्की आज़मी


مبارک ہو سبھی اہلِ وطن کو جشنِ آزادی



MUBARAK HO SABHI AHL E WATAN KO JASHN E AAZAADI
AHMAD ALI BARQI AZMI
CHALO MIL KAR MANAEIN AAJ HUM SAB JASHN E AAZAADI
WOH AAZADI NA HO JIS MEIN KISI KI KHANA BARBADI

YEH DEKHEIN HUM NE KYA PAYA HAI 65 SAAL MEIN AB TAK
DUA HAI YEH NAZAR AAYE SABHI CHEHRON PE SHADABI

NAMUNA SAMNE SAB KE HO MOHAN DAS GANDHI KA
NA HO AALOODAH KHOON MEIN ZEB E TAN HAI AAJ JO KHADI

HAI SAB KA FARZ DEKHEIN JHANK KAR APNE GAREEBAAN MEIN
KAHAAN TAK HUM HAIN AMALI ZINDAGI MEIN ADL KE AADI

"JIYO AUR JEENE DO '' KE FALSAFE PAR HON AMAL PAIRA
NA HO TARZ E AMAL SE APNE NALAAN KOII AABADI

KIYA HAI ZIKR JIS KA EK GHAZAL MEIN MIRZA GHALIB NE
NAZAR AAYE KAHIN KOII NA HARGIZ NAQSH E FARYADI

HO SAB KI DASTARS MEIN ROTI, KAPDA AUR MAKAAN BARQI
MUYASSAR HON YEH ASHYA E ZAROORI SAB KO BUNIYADI




Dhhai Akshar Prem Ke... ढाई अक्षर प्रेम के....AAJ (3/8/2012) KE MISRAH E TARH PAR MERI KAVISH
AHMAD ALI BARQI AZMI
MUNH PHER LIYA KYON MUJHE BEGANA SAMAH KAR
APNA LE MUJHE APNA TU DIWANA SAMAJH KAR

MAHROOM NA KAR DAWAT E NAZZARAH SE MUJH KO
SHAMA E RUKH E PUR NOOR KA PARWANA SAMJH KAR

SARSHAR KIYA TERI NIGAHON NE KUCHH AISA
"MASTI MEIN CHALE AAYE HAIN MAIKHANA SAMAJH KAR"

IS DIL KE SIWA AUR MAIN KUCHH DE NAHIN SAKTA
LILLAH ISE LE LE TU NAZANA SAMAJH KAR

VEERAN HAI MUDDAT SE MAERA KHANA E DIL YEH
AB AA BHI JA APNA ISE KASHANA SAMAJH KAR

BEGANON SE SABIT HUE BADTAR MERE APNE
MUNH PHER LIYA KARTE HAIN ANJANA SAMAJH KAR

RINDAN E BALA NOSH KHINCHE AATE HAIN BARQI
US KI NIGAH E NAAZ KO PAIMANA SAMJH KAR




Ghazal : Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Kaif o masti se haiN sarshaar tumhaari aankheiN
Deti haiN daawat e deedaar tumhari aankheiN

Ho gaii salb usi din se meri taqat e sabr
Mujh se jis din se hueiN chaar tumhari aankheiN

un se roshan hai meri shama e shabistaan e hayaat
haiN meri munis o ghamkhwar tumhari aanheiN

Dekhta rahta hooN maiN saakit o saamit un ko
Hoti haiN jab kabhi khoonbaar tumhari aankheiN

Deti haiN izn e safar mujh ko bayak jumbish e chashm
HaiN mere waqt ki raftaar tumhaari aankheiN

MaiN kahoon ya na kahooN ahl e nazar par hai ayaaN
Hasrat e dil ka haiN izhaar tumhari aankheiN

Khol kar jalwah gah e naaz meiN dar wazah e dil
Dil pe karti haiN mere waar tumhari aankheiN

Lazzat e kaam o dahan sab ke liye haiN yaksaaN
Ba'is e garmi  e baazaar tumhari aankheiN

Aatash e rask meiN jal bhun ke huii hai andhi
Dekh kar nargis e bimaar tumhaari aankheiN

Rooh farsa hai judaaii ka tasawwur Barqi
Karti haiN khwab se bedaar tumhari aankheiN



A TOPICAL  URDU POEM ON FRIENDSHIP DAY:AHMAD ALI BARQI AZMI

DOSTI KA KAREIN NA KYON IZHAR
JIS SE HAI BAGH E ZINDAGI MEIN BAHAR

DOSTI SE HAIN AHL E DIL SARSHAR
KYON NA IS KI FIZA KAREIN HAMWAR

GAR MELEIN TO KHULOOS E DIL SE MILEIN
DOSTI KO BANEIN MAT VYAPAR

JAZBAH E DOSTI KO AAM KAREIN
JIS PE HAI SULH O AASHTI KA MADAR

CHAR DIN KI HAI CHANDNI SAB KUCHH
MAHASAL ZINDAGI KA HAI BAS PYAR

MEHR O ULFAT HAI MISL E GHAZAH E HUSN
PYAR SE HUSN E ZINDAGIKO SANWAR

CHASHM E BATIN SE DEKH AYE BARQI
HAR TARAF PYAR KE HAIN NAQSH O NIGAR

OBSERVING FRIENDSHIP DAY


OBSERVING FRIENDSHIP DAY یومِ دوستی : منظوم تاثرات
چاد دن کی چاندنی ہے زندگی
دوست وہ ہے وقت  پرآئے جو کام

CHAR DIN KI CHANDNI HAI ZINDAGI
DOST WOH HAI WQT PAR AAYE JO KAAM

اس کا کوئی بھی نہیں مخصوص دن
دوستی ہے ایک ربطِ با دوام

IS KA KOII BHI NAHIN MAKHSOOS DIN
DOSTI HAI EK RBT E  BA  DAWAM

REMEMBERING SUPAR STAR OF INDIAN FILM INDUSTRY RAJESH KHANNA WHO IS NO MORE


REMEMBERING SUPAR STAR OF INDIAN FILM INDUSTRY RAJESH KHANNA WHO IS NO MORE

AHMAD ALI BARQI AZMI
KAR GAYE RAJESH KHANNA FILMI DUNIYA KO YATEEM
HO GAYA RUKHSAT JAHAAN SE EK FUNKAR E AZEEM

HINDI FILMON MEIN ADAKARI THI UN KI LA JAWAAB
SHAKL MEIN "AANAND" KI THE  MAZHAR E UMMID O BEEM

APNE MAIDAN E AMAL MEIN THE WOH BEHAD KAMYAAB
LE GAYA PAIK E AJAL AA KAR UNHEIN MISL E GHANEEM

FILMI DUNIYA KE WAHI PAHLE SUPER STAR THE
BAHTE THE ZINDA DILI KI RAU MEIN WOH MISL E NASEEM

SAFHA E TAREEKH PAR HAI SABT UN KI YAADGAAR
PARDAH E SEEMEEN SE RUKHSAT HO NAHIN SAKTI YEH SEEM

FILMI DUNIYA KI THE WOH EK SHAKHSIYAT HAR DIL AZEEZ
YAD WOH RAKHKHEIN GE UN KO JIN MEIN HAI ZAUQ E SALEEM

ZINDAH DIL FUNKAR BARQI ZINDA E JAVED HAI
MAR KE BHI RAHTA HAI APNE KARNAMON SE AZEEM


Ahmad Ali Barqi Azmi

Ahmad Ali Barqi Azmi

kavitakosh

Ahmad Ali Barqi Azmi

Remembering Faiz Ahmad Faiz

Remembering Shuja Khawar on His sad Demice: Bayad e Shuja Khawar

EK JASHN E BA WAQAR HAI 26JANUARY



EK JASHN E BA WAQAR HAI 26JANUARY
AHMAD ALI BARQI AZMI

EK JASHN E BA WAQAR HAI 26 JANUARY
EK WAJH E IFTEKHAR HAI 26 JANUARY

PARCHAM GUSHAII KIJIYE HAR JA BASAD KHULUS
MIZAAN E AITEBAR HAI 26 JANUARY

DASTOOR E HIND KA THA ISI DIN HUA NEFAAZ
IS KI HI YAADGAAR HAI 26 JANUARY

DUNIYA MEIN HAI JO HIND KI AZMAT KA EK NISHAAN
WOH JASHN E SHAANDAR HAI 26 JANUARY

GULHA E RANGA RANG HAIN IS KE NAZAR NAWAAZ
SAB KE GALE KA HAAR HAI 26 JANUARY

SAB KE SUKOON E QALB KA BAIS HO YEH NA KYON
EK NAKHL E SAYA DAAR HAI 26 JANUARY

JITNA BHI DIL LAGANA HAI IS SE LAGAIYE
BAS PYAR PYAR PYAR HAI 26 JANUARY

JITNA BHI KOII NAAZ KARE IS PE HAI WOH KAM
BARQI TERA WAQAAR HAI 26 JANUARY