Ghazal :Aao husn e yaar ki batein karein


Ghazal
Ahmad Ali Barqi Azmi

Aao husn e yaar ki batein karein
Ishq ke izhaar ki batein karein

Kuchch lab o rukhsaar ki batein karein
Pyar aur takraar ki batein karein

Saaz e dil woh jiski tu mizraab ho
Saaz ke us taar ki baatein karein

Daastan e zindagi ke kyon na ham
Markazi kirdaar ki batein karein

Ghamzah o naaz o ada husn e nazar
Shewah e guftaar ki batein karein

Aaj ham jab saath hai to kis liye
Apne haal e zaar ki batein karein

Bhool kar sab zindagi ke ranj o gham
Gulshan o gulzaar ki batein karein

Hijr mein ham par jo guzri bhool jaein
Phir vesaal e yaar ki batein karein

Bhool kar shikve gile ho jaein ek
Aaj kyon bekaar ki batein karein

Chod kar bughz o hasad fitnah fasaad
Aao sab se pyaar ki batein karein

Zindagi pazeb ki jhankaar hai
Kyon na us jhankaar ki batein karein

Dr.Ahmad Ali Barqi ke hum
Dilnasheen ash’aar ki batein karein

Re: اردو کی ویب سائٹیں اردو کی ھیں خدمتگذار




moHtaram Dr.Ahmad Ali Barqi SaaHib aadaab!

Qiblah aap ne jis khulooS-o-murawwat kaa cuboot faraham karte huwe internet par taraqqee-e-Urdu kee raah meN maSroof-e-a'mal afraad kee kaawishooN kaa naqshah khenchaa hai. jis meN khaaksaar ke Hawalah se bhee mazkoor hai. Haqeeqat to yeh hai. keh maiN is ta'reef-o-taoSeef ke hargiz laai'q naheeN hooN. yeh meHeZ^ aap kaa Husn-e-intekhaab hai. keh bandah ko bhee us fehrist kee qaabil samjhaa keh jis meN aap ne deegar eHbaab kaa zikr kiya hai. woh afraad waqa'ee is maedaan meN hamah tan maSroof-e-kaar haiN. aor tarweej-e-zabaan-e-Urdu ke liye fikrmand-o-koshaaN haiN. woh yaqeena" laai'q-e-taoSeef haiN.

meraa kheyaal thaa keh maiN is naz^m kaa jawaab bhee manz^oom andaaz meN dongaa lekin maSroofiyat aaRe aatee rahee aor yeh khuwahish sharmindah-e-Haqeeqat nah ho sakee. khaer waese mere qalam-e-khaam meN itnee quwwat bhee naheeN keh maiN aesee zindah-o-caqah teHreer ke jawaab kaa qaSd kar sakooN. aor ab tak jawaab nah dene kee aek baRee aor aham wajhah yeh bhee rahee. khaer aamdab barsar-e-mat^lab maiN is HaoSlah afzaaee aor usloob-e-sataai'sh ke liye u'mr bhar aap kaa mamnoon rahooN gaa. maiN ne is naz^m ko yahaN bart^aaniyah ke mukhtalif akhbaar-o-jaraae'id ke naam arsaal kar diya hai. taa aap kee is kaawish se har nigaah-e-khaaS-o-a'aam aashnaa ho jaae.

Muzaffar AHmad Muzaffar
Muzaffar Ahmed Muzaffar
Administrator
Sukhan Fehm
Urdubandhan.com

Re: اردو کی ویب سائٹیں اردو کی ھیں خدمتگذار
website per nazm ek naya anookha kaam hai. is se qabl urdu
adab men "tazkare" to bahot milte hain jo mukhtalif shora ya
udaba per likkhe gae hain lekin asre jadeed ke zariya-e-tarseel yaane
websites per aaj tak kisi ne is tarah nahi likkha. ye ahde-haazir men
urdu ki khidmat karni waali tamaam sites ki ek mukammil taareekh hai
jo kal ke taalib-e-ilm ke kaam aaegi.
meri taraf se mubarakbaad qubool kijiye. khud mujhe bhi pata nahin thha
ke kaun kaun log aur kaun kaun si sites kaam kar rahi hain. meri
maaloomat men khoob izaafa hua.

aleem khan wrote

आई होली ख़ुशी का ले के पयाम

आई होली ख़ुशी का ले के पयाम

डा अहमद अली बर्क़ी आज़मी





आई होली ख़ुशी का ले के पयाम

आप सब दोस्तोँ को मेरा सलाम



सब हैँ सरशार कैफो मस्ती मेँ

आज की है बहुत हसीँ यह शाम



सब रहेँ ख़ुश युँही दोआ है मेरी

हर कोई दूसरोँ के आए काम



भाईचारे की हो फ़जा़ ऐसी

बादा-ए इश्क़ का पिएँ सब जाम



हो न तफरीक़ कोई मज़हब की

जश्न की यह फ़ज़ा हो हर सू आम



अम्न और शान्ती का हो माहोल

जंग का कोई भी न ले अब नाम



रंग मे अब पडे न कोई भंग

सब करेँ एक दूसरे को सलाम



रहें मिल जुल के लोग आपस मेँ

मेरा अहमद अली यही है पयाम