یوم مادر:Mother’s Day

یوم مادر:Mother’s Day
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Yaum e maader sabhi manaate hain
Maan ki azmat ke geet gaate hain
Maan hai jinke wajood ki zaamin
Maan ko aksar woh bhool jaate hain
Maan ki mamta jahaan mein hai anmol
Muft mein jisko sab ganwaate hain
Maan ne ki jinki naaz bardaari
Naaz biwi ke woh uthaate hain
Ghar ki sheerazah bandi maan se hai
Maan na ho to yeh toot jaate hain
Unhein maaloom hai ki maan kyaa hai
Maan se jo log choot jaate hain
Maan ka jab bhi khayaal aata hai
Sote sote woh jaag jaate hain
Yeh khayaalaat hain bahut dilsoz
Neend raaton ki jo udaate hain
Maan ka woh qaul yaad hai mujh ko
Wadah karte hain jo nibhaate hain
Maan thee jab tak mujhe khayaal na thaa
Ab mujhe din woh yaad aate hain
Maan ka ne’amul badal naheen Barqi
Is liye jashn yeh manaate hain
GHAZAL : Qalb Hai Mera Ishq Se Sarshaar

GHAZAL : Qalb Hai Mera Ishq Se Sarshaar
DR.AHMAD ALI BARQI AZMI
Qalb hai mera ishq se sarshaar
Kis tarah iska main karoon izhaar
Kuchch bhi sunne ko jo na ho tayyar
Us se hai arz e mudd’aa bekaar
Jabhi iqraar hai kabhi inkaar
Uske tarz e amal se hoon bazaar
Kab tak aakhir sahoon main uske waar
Mujh se nahaq hai bar sare paikaar
Samne aaye to sahi mere
Gul khiaye gi baahami takraar
Aana hota agar to aa jaata
Sirf karta hai wadah e deedaar
Samne aaya nagahaan ek din
Kya bataa’oon main apna haal e zaar
Dekh kar usko ho gaya bekhud
Jab huein us se meri aankhein chaar
Neend aankhon se ho gaii kaafoor
Main hoon uske feraaq mein bedaar
Naqsh hain lauh e qalb par mere
Rukh e zeba ke uske naqsh o negaar
Khanah e dil mein ab naheen hai woh
Le gaya saath mera sabr o qaraar
Gham gusaari ka dam jo bharta thaa
Mera BARQI naheen hai woh ghamkhwaar
سبسکرائب کریں در:
اشاعتیں (Atom)
ڈاکٹر احمد علی برقیؔ اعظمی
- ڈاکٹر احمد علی برقیؔ اعظمی اعظم گڑھ کے ایک ادبی خانوادے سے تعلق رکھتے ہیں۔ آپ کے والد ماجد جناب رحمت الہی برقؔ دبستان داغ دہلوی سے وابستہ تھے اور ایک باکمال استاد شاعر تھے۔ برقیؔ اعظمی ان دنوں آل آنڈیا ریڈیو میں شعبہ فارسی کے عہدے سے سبکدوش ہونے کے بعد اب بھی عارضی طور سے اسی شعبے سے وابستہ ہیں۔۔ فی البدیہہ اور موضوعاتی شاعری میں آپ کو ملکہ حاصل ہے۔ آپ کی خاص دل چسپیاں جدید سائنس اور ٹکنالوجی خصوصاً اردو کی ویب سائٹس میں ہے۔ اردو و فارسی میں یکساں قدرت رکھتے ہیں۔ روحِ سخن آپ کا پہلا مجموعہ کلام ہے۔
***
فیس بک پیج
مقبول اشاعتیں
-
भर दे दिल मेँ यह दिवाली आपके ख़ुशियोँ के रंग: डा. अहमद अली बर्की आज़मी
-
Poetic Tribute to Our Late Ex .President Dr. A.P. J. Abdul kalam :Ahmad Ali Barqi Azmi
-
SHIBLI NATIONAL P.G.COLLEGE,AZAMGARH,U.P & ITS FOUNDER ALLAMA SHIBLI NOMANI
-
माँ की ममता का नहीँ कोई शुमार
-
डा. अहमद अली वर्की आज़मी की एक ग़ज़ल: نئے سال کی نئی غزل
-
تبصرہ ’’ صریر خامہ ‘‘ صاحبہ شہریار ( شعری مجموعہ ) مبصر : فاروق ارگلی
-
EK JASHN E BA WAQAR HAI 26JANUARY
-
Barqi Azmi's Photo Album created By Mohammad Hussain Abu Dhabi UAE.
زمرے
حالیہ نگارشات
- LIVE: 170 घंटे कवी सम्मलेन व मुशायरा | World Best Kavi's Mushayara And S...
- MOJ E SUKHAN ADABI FORUM MASHAIRA NO: 337 HOST NASEEM SHAIKH
- Ahmad Ali Barqi Azmi Recites His Naat In Online Mushaira No 289 Of Mauj ...
- MOJ E SUKHAN ADABI FORUM MASHAIRA NO: 336 HOST NASEEM SHAIKH
- Sadequain Ki Yaad Mein | Prof.Manzar Abbas Naqvi | Mizrab foundation
- MUJH KO YEH SHEHR E JAFA LAGTA HAI :A Ghazal By Ahmad Ali Barqi Azmi Singer : Yaqub Malik Khan...
- 26th January New Nazam. Ek jashne ba waqar hai,26january.By Ahmad Ali Barqi Azmi
- kalam e Shair Ba Zaban e Shair : Ahmad Ali Barqi Azmi In An Online Musha...
محفوظات
مشاہدات
181,259