مبارک ہو سبھی اہلِ وطن کو جشنِ آزادی
MUBARAK HO SABHI AHL E WATAN KO JASHN E AAZAADI
AHMAD ALI BARQI AZMI
CHALO MIL KAR MANAEIN AAJ HUM SAB JASHN E AAZAADI
WOH AAZADI NA HO JIS MEIN KISI KI KHANA BARBADI
YEH DEKHEIN HUM NE KYA PAYA HAI 65 SAAL MEIN AB TAK
DUA HAI YEH NAZAR AAYE SABHI CHEHRON PE SHADABI
NAMUNA SAMNE SAB KE HO MOHAN DAS GANDHI KA
NA HO AALOODAH KHOON MEIN ZEB E TAN HAI AAJ JO KHADI
HAI SAB KA FARZ DEKHEIN JHANK KAR APNE GAREEBAAN MEIN
KAHAAN TAK HUM HAIN AMALI ZINDAGI MEIN ADL KE AADI
"JIYO AUR JEENE DO '' KE FALSAFE PAR HON AMAL PAIRA
NA HO TARZ E AMAL SE APNE NALAAN KOII AABADI
KIYA HAI ZIKR JIS KA EK GHAZAL MEIN MIRZA GHALIB NE
NAZAR AAYE KAHIN KOII NA HARGIZ NAQSH E FARYADI
HO SAB KI DASTARS MEIN ROTI, KAPDA AUR MAKAAN BARQI
MUYASSAR HON YEH ASHYA E ZAROORI SAB KO BUNIYADI
Dhhai Akshar Prem Ke... ढाई अक्षर प्रेम के....AAJ (3/8/2012) KE MISRAH E TARH PAR MERI KAVISH
AHMAD ALI BARQI AZMI
MUNH PHER LIYA KYON MUJHE BEGANA SAMAH KAR
APNA LE MUJHE APNA TU DIWANA SAMAJH KAR
MAHROOM NA KAR DAWAT E NAZZARAH SE MUJH KO
SHAMA E RUKH E PUR NOOR KA PARWANA SAMJH KAR
SARSHAR KIYA TERI NIGAHON NE KUCHH AISA
"MASTI MEIN CHALE AAYE HAIN MAIKHANA SAMAJH KAR"
IS DIL KE SIWA AUR MAIN KUCHH DE NAHIN SAKTA
LILLAH ISE LE LE TU NAZANA SAMAJH KAR
VEERAN HAI MUDDAT SE MAERA KHANA E DIL YEH
AB AA BHI JA APNA ISE KASHANA SAMAJH KAR
BEGANON SE SABIT HUE BADTAR MERE APNE
MUNH PHER LIYA KARTE HAIN ANJANA SAMAJH KAR
RINDAN E BALA NOSH KHINCHE AATE HAIN BARQI
US KI NIGAH E NAAZ KO PAIMANA SAMJH KAR
AHMAD ALI BARQI AZMI
MUNH PHER LIYA KYON MUJHE BEGANA SAMAH KAR
APNA LE MUJHE APNA TU DIWANA SAMAJH KAR
MAHROOM NA KAR DAWAT E NAZZARAH SE MUJH KO
SHAMA E RUKH E PUR NOOR KA PARWANA SAMJH KAR
SARSHAR KIYA TERI NIGAHON NE KUCHH AISA
"MASTI MEIN CHALE AAYE HAIN MAIKHANA SAMAJH KAR"
IS DIL KE SIWA AUR MAIN KUCHH DE NAHIN SAKTA
LILLAH ISE LE LE TU NAZANA SAMAJH KAR
VEERAN HAI MUDDAT SE MAERA KHANA E DIL YEH
AB AA BHI JA APNA ISE KASHANA SAMAJH KAR
BEGANON SE SABIT HUE BADTAR MERE APNE
MUNH PHER LIYA KARTE HAIN ANJANA SAMAJH KAR
RINDAN E BALA NOSH KHINCHE AATE HAIN BARQI
US KI NIGAH E NAAZ KO PAIMANA SAMJH KAR
Ghazal : Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Deti haiN daawat e deedaar tumhari aankheiN
Ho gaii salb usi din se meri taqat e sabr
Mujh se jis din se hueiN chaar tumhari aankheiN
un se roshan hai meri shama e shabistaan e hayaat
haiN meri munis o ghamkhwar tumhari aanheiN
Dekhta rahta hooN maiN saakit o saamit un ko
Hoti haiN jab kabhi khoonbaar tumhari aankheiN
Deti haiN izn e safar mujh ko bayak jumbish e chashm
HaiN mere waqt ki raftaar tumhaari aankheiN
MaiN kahoon ya na kahooN ahl e nazar par hai ayaaN
Hasrat e dil ka haiN izhaar tumhari aankheiN
Khol kar jalwah gah e naaz meiN dar wazah e dil
Dil pe karti haiN mere waar tumhari aankheiN
Lazzat e kaam o dahan sab ke liye haiN yaksaaN
Ba'is e garmi e baazaar tumhari aankheiN
Aatash e rask meiN jal bhun ke huii hai andhi
Dekh kar nargis e bimaar tumhaari aankheiN
Rooh farsa hai judaaii ka tasawwur Barqi
Karti haiN khwab se bedaar tumhari aankheiN
A TOPICAL URDU POEM ON FRIENDSHIP DAY:AHMAD ALI BARQI
AZMI
DOSTI KA KAREIN NA KYON IZHAR
JIS SE
HAI BAGH E ZINDAGI MEIN BAHAR
DOSTI SE
HAIN AHL E DIL SARSHAR
KYON NA IS KI FIZA KAREIN
HAMWAR
GAR MELEIN TO KHULOOS E DIL SE MILEIN
DOSTI KO BANEIN MAT VYAPAR
JAZBAH E DOSTI KO AAM KAREIN
JIS PE HAI SULH O AASHTI KA
MADAR
CHAR DIN KI HAI CHANDNI SAB
KUCHH
MAHASAL ZINDAGI KA HAI BAS
PYAR
MEHR O ULFAT HAI MISL E
GHAZAH E HUSN
PYAR SE HUSN E ZINDAGIKO
SANWAR
CHASHM E BATIN SE DEKH AYE
BARQI
HAR TARAF PYAR KE HAIN NAQSH
O NIGAR
OBSERVING FRIENDSHIP DAY
REMEMBERING SUPAR STAR OF INDIAN FILM INDUSTRY RAJESH KHANNA WHO IS NO MORE
REMEMBERING
SUPAR STAR OF INDIAN FILM INDUSTRY RAJESH KHANNA WHO IS NO MORE
AHMAD
ALI BARQI AZMI
KAR
GAYE RAJESH KHANNA FILMI DUNIYA KO YATEEM
HO GAYA RUKHSAT JAHAAN SE EK
FUNKAR E AZEEM
HINDI
FILMON MEIN ADAKARI THI UN KI LA JAWAAB
SHAKL
MEIN "AANAND" KI THE MAZHAR E
UMMID O BEEM
APNE
MAIDAN E AMAL MEIN THE WOH BEHAD KAMYAAB
LE GAYA PAIK E AJAL AA KAR
UNHEIN MISL E GHANEEM
FILMI
DUNIYA KE WAHI PAHLE SUPER STAR THE
BAHTE
THE ZINDA DILI KI RAU MEIN WOH MISL E NASEEM
SAFHA
E TAREEKH PAR HAI SABT UN KI YAADGAAR
PARDAH
E SEEMEEN SE RUKHSAT HO NAHIN SAKTI YEH SEEM
FILMI
DUNIYA KI THE WOH EK SHAKHSIYAT HAR DIL AZEEZ
YAD
WOH RAKHKHEIN GE UN KO JIN MEIN HAI ZAUQ E SALEEM
ZINDAH
DIL FUNKAR BARQI ZINDA E JAVED HAI
MAR KE
BHI RAHTA HAI APNE KARNAMON SE AZEEM
EK JASHN E BA WAQAR HAI 26JANUARY

EK JASHN E BA WAQAR HAI 26JANUARY
AHMAD ALI BARQI AZMI
EK JASHN E BA WAQAR HAI 26 JANUARY
EK WAJH E IFTEKHAR HAI 26 JANUARY
PARCHAM GUSHAII KIJIYE HAR JA BASAD KHULUS
MIZAAN E AITEBAR HAI 26 JANUARY
DASTOOR E HIND KA THA ISI DIN HUA NEFAAZ
IS KI HI YAADGAAR HAI 26 JANUARY
DUNIYA MEIN HAI JO HIND KI AZMAT KA EK NISHAAN
WOH JASHN E SHAANDAR HAI 26 JANUARY
GULHA E RANGA RANG HAIN IS KE NAZAR NAWAAZ
SAB KE GALE KA HAAR HAI 26 JANUARY
SAB KE SUKOON E QALB KA BAIS HO YEH NA KYON
EK NAKHL E SAYA DAAR HAI 26 JANUARY
JITNA BHI DIL LAGANA HAI IS SE LAGAIYE
BAS PYAR PYAR PYAR HAI 26 JANUARY
JITNA BHI KOII NAAZ KARE IS PE HAI WOH KAM
BARQI TERA WAQAAR HAI 26 JANUARY
سبسکرائب کریں در:
اشاعتیں (Atom)
ڈاکٹر احمد علی برقیؔ اعظمی
- ڈاکٹر احمد علی برقیؔ اعظمی اعظم گڑھ کے ایک ادبی خانوادے سے تعلق رکھتے ہیں۔ آپ کے والد ماجد جناب رحمت الہی برقؔ دبستان داغ دہلوی سے وابستہ تھے اور ایک باکمال استاد شاعر تھے۔ برقیؔ اعظمی ان دنوں آل آنڈیا ریڈیو میں شعبہ فارسی کے عہدے سے سبکدوش ہونے کے بعد اب بھی عارضی طور سے اسی شعبے سے وابستہ ہیں۔۔ فی البدیہہ اور موضوعاتی شاعری میں آپ کو ملکہ حاصل ہے۔ آپ کی خاص دل چسپیاں جدید سائنس اور ٹکنالوجی خصوصاً اردو کی ویب سائٹس میں ہے۔ اردو و فارسی میں یکساں قدرت رکھتے ہیں۔ روحِ سخن آپ کا پہلا مجموعہ کلام ہے۔
***
فیس بک پیج
مقبول اشاعتیں
-
भर दे दिल मेँ यह दिवाली आपके ख़ुशियोँ के रंग: डा. अहमद अली बर्की आज़मी
-
Poetic Tribute to Our Late Ex .President Dr. A.P. J. Abdul kalam :Ahmad Ali Barqi Azmi
-
SHIBLI NATIONAL P.G.COLLEGE,AZAMGARH,U.P & ITS FOUNDER ALLAMA SHIBLI NOMANI
-
माँ की ममता का नहीँ कोई शुमार
-
डा. अहमद अली वर्की आज़मी की एक ग़ज़ल: نئے سال کی نئی غزل
-
تبصرہ ’’ صریر خامہ ‘‘ صاحبہ شہریار ( شعری مجموعہ ) مبصر : فاروق ارگلی
-
EK JASHN E BA WAQAR HAI 26JANUARY
-
Barqi Azmi's Photo Album created By Mohammad Hussain Abu Dhabi UAE.
زمرے
حالیہ نگارشات
- LIVE: 170 घंटे कवी सम्मलेन व मुशायरा | World Best Kavi's Mushayara And S...
- MOJ E SUKHAN ADABI FORUM MASHAIRA NO: 337 HOST NASEEM SHAIKH
- Ahmad Ali Barqi Azmi Recites His Naat In Online Mushaira No 289 Of Mauj ...
- MOJ E SUKHAN ADABI FORUM MASHAIRA NO: 336 HOST NASEEM SHAIKH
- Sadequain Ki Yaad Mein | Prof.Manzar Abbas Naqvi | Mizrab foundation
- MUJH KO YEH SHEHR E JAFA LAGTA HAI :A Ghazal By Ahmad Ali Barqi Azmi Singer : Yaqub Malik Khan...
- 26th January New Nazam. Ek jashne ba waqar hai,26january.By Ahmad Ali Barqi Azmi
- kalam e Shair Ba Zaban e Shair : Ahmad Ali Barqi Azmi In An Online Musha...
محفوظات
مشاہدات
181,258