

ग़ज़ल
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी
इतना न खींचो हो गया बस
टूट न जाए तारे नफस
थीरीँ बयानी उसकी मेरे
घोलती है कानोँ मेँ रस
खाती हैँ बल नागिन की तरह
डर है न लेँ यह ज़ुलफेँ डस
उसका मनाना मुशकिल है
होता नहीँ वह टस से मस
वादा है उसका वादए हश्र
अभी तो गुज़रे हैँ चंद बरस
फूल उन्होँ ने बाँट लिए
मुझको मिले हैँ ख़ारो ख़स
सुबह हुई अब आँखेँ खोल
सुनता नहीँ क्या बाँगे जरस
उसने ढाए इतने ज़ुल्म
मैँने कहा अब बस बस बस
बर्क़ी को है जिस से उम्मीद
उसको नहीँ आता है तरस
Ghazal : BAANG-e-JARAS
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
Itna na kheencho Ho gaya Bas
Toot na Jaaye Taar-e-Nafas
Sheeren Bayani Uski Mere
Gholti hai KaanoN main Ras
Khati hai Bal Naagin ki Tarah
Darr hai na lein yeh Zulfein Das
Uska Manaa-na Mushkil Hai
Hota nahin woh Tas se Mas
Wada hai Uska Wada-e-Hashr
Abhi to Guzre hain Chand Baras
Phool unhoN ne Baant Liye
Mujhko Mile hain Khaar o Khas
Subh hoyi Ab Aankhein khol
Sunta nahin kya Bang e Jaras
Usne itne Dhaaye Zulam
Main ne kaha ab bas bas bas
Barqi ko jis se hai ummeed
Usko nahin aata hai taras

ग़ज़ल
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी
जिस परी पैकर से मुझको प्यार है
वह मुसलसल दरपए आज़ार है
ख़ानए दील मेँ मकीँ है वह मेरे
फिर न जाने कैसी यह दीवार है
कर दिया है जिस ने दोनोँ को जुदा
जिस से रबते बाहमी दुशवार है
है ख़ेज़ाँ दीदह बहारे जाँफेज़ा
दूर जब से मूझसे मेरा यार है
उसके इस तर्ज़े तग़ाफ़ुल के सबब
ज़ेहन पर हर वक्त मेरे बार है
उसका तरज़े कार तो ऐसा न था
पहले था एक़रार अब इंकार है
क्या बताए अपनी बर्क़ी सरगुज़श्त
हाले दिल नाक़ाबिले इज़हार है
Dr, AHmad Ali Barqi SaaHib kee nazr!
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Aadaab Barqi SaaHib!
nazr A'li AHmad Barqi
dil ko jeete shaokhee-e-Guftaar se!
Zindagee phooTe tere asha'aar se!
raqS kartee hai naseem-e-SubH jab
tu agar guzre kabhee gulzaar se!
jazbah-e-dil kaa t^ilism-e-gul fishaaN
Saaf z^aahir hai tere asha'aar se!
yeh tera Ganjeenah-e-Harf-o-hunar
Qeematee hai darham-o-deenaas se!
tere reshHaat-e-qalam kee shaokhiyaaN
tez haiN :Barqi: yeh har talwaar se!
moa'tarif teree sukhan goee ka hooN
keh gaee dunya lab-e-iz^har se!
ho agar mumkin mujheY AHmad A'li
ser* kar de sharbat-e-deedaar se!
*ser=bhara huwa, Aasudah
Muzaffar A Muzaffar
Sael-e-Chashm-e-tar Muzaffar laakh jaaN lewaa sahee
ham ne bhee jeene kee lekin hai qasam khaaee huee!
Muzaffar Ahmad Muzaffar
Admin
Posts: 1129
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: Bazm-e-Urdu Bandhan
--------------------------------------------------------------------------------
شربت دیدار سے ہونا اگر ہے شاد کام
دیکھئے جا کربلاگ اسپاٹ پرمیرابلاگ
aabarqi.blogspot.com

moHtaram Barqi SaaHib aadaab!
kese mizaaj haiN. aap kee naz^m baSurat-e-Ghazal dekhee kiya kehne rawaane aor barjastagee kee aek raoshan aor taabindah micaal hai. re'naaee-e-kheyaal aor parwaaz-e-takhaiyyul apnee jagah qaabil-e-daad hai. e'laawah azeeN sehle-e-mumtina' meN aek achchee koshish hai. sabhee asha'aar dil ko chu gae. meree jaanib se is kaamyaab takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
MoHtaram Barqi saheb
aadaasb.
MoHtaram Barqi saheb
aadaab arz hai !
aapkee ghazal paRh kar vafoor.e shoq meiN mubtilaa ho janaa aik fitratee radd.e amal hai.
ghazal iss qadar asarpazeer huee hai k dil kee shaguftgee ke roo.ba.roo gul.e nargis bhee rashk rakhtaa nazar aataa hai.
har sher aapkee pukhtaa mashqee aur baland parwaaz.e takhayyul kaa vo aaienaa hai k har qaaree ba.har soorat apnee eHsaas.e khudee aur mardanaa nematoN ko ba.awwaz.e baland doHrataa dikhaaee detaa hai.
sher kaa har lafz khayaal ke hamraah bayaan kee kaifiyat se laberz hai aur rawaanee vo ke dariyaa.e sukhan bahaaye liye jaatee hai.
ghazal kee khusoosiyat sanjidgee ko purasar saadgee meiN adaa karnaa hai aur aap iss fan meiN kaamyaab haiN.
meri jaanib se aik nihaayat
khoobsoorat aur dilkash ghazal par daad aur mubaarakbaad qabool kareN.
PK Swami

moHtaram Ahmad Ali Barqi Azmi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
Mushae'rah meN aap kee shirkat se jis qadar mujhe khushee aor masarrat kaa eHsaas huwaa hai. use alfaaz^ meN bayaaN karnaa ju-e-sheer lana hai. meree dilee kaefiyat kaa andaazah Sirf maiN hee kar saktaa hooN. so aap kee tashreef aawaree jahaN ham sab ke liye baae'c-e-khushee hai. wahaN aap kee yooN bharpoor aamad baae'c-e-iftekhaar bhee hai. mujhe ummeed hai keh aap yooN hee tashreef laate raheeN ge aor apnee be panah she'eree aor takhleeqee SalaHiyatooN se ehl-e-mejlis ko mustafeed farmaate raheeN ge. inshAllah!
Aap kee t^arHee Ghazal HaseeN alfaaz^ aor purkashish tarakeeb kaa HaseeN imtejaaz hai. jazbah-o-kheyaal jawaN hai. khud aa'temaadee jo aap ke lab-o-lehjah kee pehchaan hai. kalam se Saaf z^aahir hai. zer-e-naz^ar kalam meN saadagee meN purkaaree paedah karne kaa kaamyaab tajrubah kiya geya hai. jo apnee jagah laai'q-e-daad hai. bahai'ciyat-e-majmua'ee Ghazal Ganjeenah-e-lafz^-o-mua'nee bhee hai aor mataa'-e-ranG-e-taGhazzul bhee. har miSra' qaabil taoSeef hai. is meN shubah kee koee gunjaai'sh naheeN keh aap ne apnee zood gaoee ke saath saath fannee pukhtagee ko haath se naheeN jaane diya. aor e'Sree rujHaanaat qalabee waardaat aor TaGhazzul kee chaashnee ne Kalam meN hamAahangee aor nudrat-e-bayaaN kee Aamezish shaamil kar dee hai. jis kee wajah se Ghazal dilkash aor SeHer angeez ho gaee hai.
meree jaanib se is kaamyaab shahkaar kee takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Muzaffar AHmad Muzaffar
Admin
urdubandhan
भर दे दिल मेँ यह दिवाली आपके ख़ुशियोँ के रंग
आपके इस रंग मेँ पडने न पाए कोई भंग
जो जहाँ हो उसको हासिल हो वहाँ ज़ेहनी सुकून
दूर हो जाए जहाँ से बुगज़, नफरत और जंग
अपने दिल को साफ रखिए आप मिसले आइना
आपकी शमशीरे ईमाँ पर न लगने पाए ज़ंग
है ज़रूररत वक्त की आपस में रखिए मेल जोल
भाइचारा देख कर सब आपका रह जाएँ दंग
आइए आपस मेँ मिल कर यह प्रतिज्ञा हम करेँ
रंग मे अपनी दिवाली के न पडने देँगे भंग
महफ़िले शेरो सुख़न मेँ जश्न का माहौल है
कीजिए नग़मा सराई आप बर्क़ी लेके चंग
डा. अहमद अली बर्की आज़मी

चल दिया अपने मिशन पर चंद्रयान
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी
चल दिया अपने मिशन पर चंद्रयान
हिंद की अज़मत का यह है एक निशान
कारनामा है यह इसरो का अज़ीम
हैँ सभी साँइंसदाँ जिसके महान
कामयाबी है यह एक तारीख़ साज़
मुल्को मिल्लत की बढाई जिसने शान
जश्न का माहौल है एक हर तरफ
हैँ प्रफुल्लित बच्चे बूढे और जवान
हीलियम की यह करेगा जुसतजू
जिसके होने का वहाँ पर है गुमान
आज है विज्ञान को उसक तलाश
जिसका है क़ुर्आन मेँ वाज़ह बयान
है मुसख़्खर इब्ने आदम के लिए
चाँद, मंगल, और यह सारा जहान
सब से अशरफ आज है नौए बशर
इस लिए है हर मिशन में कामरान
हो जुनूने आगही बर्क़ी अगर
कोई भी मुशकिल नहीँ है इम्तेहान
chal diya apane mishan par chandrayan
Dr. Ahamad Ali Barqi Azmi
chal diya apane mishan par chandrayan
hind kee azamat ka yah hai ek nishan
karanama hai yah isaro ka azim
hain sabhi saninsadan jisake mahan
kamayabi hai yah ek tarikh saz
mulko millat kee badhaee jisane shan
jashn ka mahaul hai ek har taraf
hain prafullit bachche boodhe aur javan
hiliyam kee yah karega jusatajoo
jisake hone ka vahan par hai guman
aaj hai vigyan ko usakee talash
jisaka hai quraan men vazah bayan
hai musakhakhar ibne aadam ke lie
chand, mangal, aur yah sara jahan
sab se asharaf aaj hai naue bashar
is lie hai har mishan men kamaran
ho junoone aagahi barqi agar
koee bhi mushakil nahin hai imtehan
.gif)
moHtaram Barqi SaaHib aadaab!
kese mizaaj haiN? nihayat shaandaar Ghazal se nawaza hai. chooTee zameen meN yeh aek kaamyaab koshish hai. nudrat-e-bayaN aor re'naee-e-kheyaal bhee khub hai. is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
ग़ज़ल
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी
हैँ किसी की यह करम फर्माइयाँ
बज रही हैँ ज़ेहन मेँ शहनाइयाँ
उसका आना एक फ़ाले नेक है
ज़िंदगी मेँ हैँ मेरी रानाइयाँ
मुर्तइश हो जाता है तारे वजूद
जिस घडी लेता है वह अंगडाइयाँ
उसकी चशमे नीलगूँ है ऐसी झील
जिसकी ला महदूद हैँ गहराइयाँ
चाहता है दिल यह उसमेँ डूब जाँए
दिलनशीँ हैँ यह ख़याल आराइयाँ
मेरे पहलू मेँ नहीँ होता वह जब
होती हैँ सब्र आज़मा तन्हाइयाँ
तल्ख़ हो जाती है मेरी ज़िंदगी
करती हैँ वहशतज़दा परछाइयाँ
इश्क़ है सूदो ज़ियाँ से बेनेयाज़
इश्क़ मे पुरकैफ हैँ रुसवाइयाँ
वलवला अंगेज़ हैँ मेरे लिए
उसकी बर्क़ी हौसला अफज़ाइयाँ
मुर्तइश. कंपित, सब्र आज़मा. नाक़ाबिले बरदाश्त
नीलगूँ , नीली सूदो ज़ियाँ . नफ़ा नुकसान
gazal
da. ahamad ali barqi aazami
hain kisi kee yah karam farmaiyan
baj rahi hain zehan men shahanaiyan
usaka aana ek fale nek hai
zindagi men hain meri ranaiyan
murtaish ho jata hai tare vajood
jis ghadi leta hai vah angadaiyan
usakee chashame nilagoon hai aisi jheel
jisakee la mahadood hain gaharaiyan
chahata hai dil yah usamen doob jane
dilanashin hain yah khayal aaraiyan
mere pahaloo men nahin hota vah jab
hoti hain sabr aazama tanhaiyan
talkh ho jati hai meri zindagi
karati hain vahashatazada parachhaiyan
ishq hai soodo ziyan se beneyaz
ishq me purakaif hain rusavaiyan
valavala angez hain mere lie
usakee barqi hausala afazaiyan
murtaish. kanpit, sabr aazama. naqabile baradasht
nilagoon , nili soodo ziyan . nafa nukasana
.gif)
ग़ज़ल
डा. अहमद अली बर्क़ी आज़मी
करता रहा मैँ क़ाफिया पैमाई रात भर
बजती थी मेरे ज़ेह्न मेँ शहनाई रात भर
आई जो उसकी याद तो आती चली गई
एक लमहा मुझको नीँद नहीँ आई रात भर
बरपा था मेरे ज़ेह्न मेँ एक महशरे ख़याल
उसने बना दिया मुझे सौदाई रात भर
कितना हसीँ था उसका तसव्वुर न पूछिए
सब्र आज़मा रही मुझे तनहाई रात भर
मैँ छेडता था उसको तसव्वुर मेँ बार बार
रह रह के ले रही थी वह अंगडाई रात भर
मैँ देखता ही रह गया जब आई सामने
मुझ मेँ नहीँ थी क़ूवते गोयाई रात भर
मैँ दमबख़ुद था देख के उसका वफ़ूरे शौक़
वह मुझ को देख देख के शरमाई रात भर
बातोँ मे उसकी आगया मैँ और कहा कि जाओ
मैँ फिर मिलूँगी उसने क़सम खाई रात भर
यह जानते हुए भी कि वादा शिकन है वह
मैँ मुंतज़िर था चलती थी पुरवाई रात भर
करता रहा मैँ उसका कई दिन तक इंतेज़ार
लेकिन वह ख्वाब मेँ भी नहीँ आई रात भर
बर्क़ी नेशाते रूह था मेरा जुनूने शौक़
मैँ कर रहा था अंजुमन आराई रात भर
یاد رفتگاں
ڈاکٹر احمد علی برقی اعظمی
رکھئے عزیز آپ سدا یاد رفتگاں
ھے یاد ان بزرگوں کی اک گنج شایگاں
غالب، انیس، میر تقی میر،ذوق و داغ
ان کے بغیر ادھوری ھے اردو کی داستاں
سردار جعفری ھوں کہ احمد فراز ھوں
ان کا کلام آج ھے اک نقش جاوداں
رحمت الھی برق ھوں یا کیفی اعظمی
اک روز یہ سپھر ادب پر تھے ضوفشاں
اردو غزل کا آج ھے دامن بہت وسیع
اقبال کا کلام ھے عظمت کا اک نشاں
ھے کاروان اردو ھمیشہ رواں دواں
اب دیکھئے ٹھہرتی ھے جا کر نظر کہاں
فی البدیہ
بیاد مولانا ابوالکلام آزاد
ڈاکٹراحمد علی برقی اعظمی
شخصیت آزاد کی تہی مرجع اہل نظر
ان کو حاصل تھا جہاں میں عزو جاہ وکروفر
ھے" غبار خاطر" ان کے فکرو فن کی ترجمان
ان کے رشحات قلم ہیں مظہرعلم و ہنر
ان کی عظمت کے نشاں ہیں" الہلال" و" البلاغ"
جن میں ہیں اردو صحافت کے سبہی لعل و گہر
"ترجمان القرآں" ھے ان کی بصیرت کی گواہ
ان کی اردو،فارسی، عربی، پہ تہی گہری نظر
شخصیت پر ان کی یہ اقبال کا صادق ھے قول
ہوتے ھیں پیدا بڑی مشکل سے ایسے دیدہ ور
ان کی تحریروں سے عصری آگہی ھے ھمکنار
ان کی تقریریں ھیں اک آئینہ نقد و نظر
اس صدی کی تھے وہ برقی شخصیت تاریخ ساز
ان کا فن آئینہ ایام میں ھے جلوہ گر

ID BHAR DE ZINDAGI MEIN AAPKI KHUSHIYON KE RANG
DR.AHMAD ALI BARQI AZMI
ID BHAR DE ZINDAGI MEIN AAPKI KHSHYON KE RANG
AAPKE IS RANG MEIN PADNE NA PAAYE KOI BHANG
JO JAHAN HO USKO HASIL HO WAHAN ZEHNI SUKOON
DUR HO JAYE JAHAN SE BUGHHZ NAFRAT AUR JUNG
APNE DIL KO SAAF RAKHIYE AAP MISL E AAINAA
AAPKI SHAMSHEER E IMAAN PAR NA LAGNE PAYE ZANG
HAI ZAROORAT WAQT KI AAPAS MEIN RAKHIYE MEL JOL
BHAAI CHAARA AAPKA SAB DEKH KAR RAH JAIEN DANG
EQTEZA E WAQT HAI AB AMN O SLLH O AASHATEE
AAPKE TARZ E AMAL SE HO NA KOI SHAKSH TANG
AAIYE HAM SAB KAREIN MIL JUL KE YEH TAJDEED E AHD
ID KE IS RANG MEIN PADNE NA DENGE KOI BHANG
MAHFIL E RAAH E ADAB MEIN JASHN KA MAHAUL HAI
KIJIYE NAGHMA SARAII AAP BARQI KE KE CHANG[/color][/color][/SIZE]
--------------------