اپنے وطنِ ثانی جامعہ نگر کی نذر : احمد علی برقی اعظمی Poetic Tribute To Jamia Nagar


ڈاکٹر احمد علی برقی اعظمی: عصری شاعری میں غزلیہ ہیئت کے نگہبان : ڈاکٹر محمد صدیق نقوی Barqi Azmi :Asri Shairi MeiN Ghazaliya Hai'at Ke Nigahban


رنج و غم کی داستاں ہے لفظ لفظ : برقی اعظمی Ranj o Gham Ki DaastaaN Hai Lafz Lafz


Mubarak Ho Sabhi Ahl e Watan Ko Jashn e Aazadi مبارک ہو سبھی اہلِ وطن کو جشنِ آزادی


آدمی نامہ بصورتِ غزل: برقی اعظمی Aadmi Nama By Barqi Azmi


Bhopal MeiN Ek Shaam Barqi Azmi ke Naam-Urdu Youth Forum

Bhopal MeiN Jashn e Muslim Saleem Par Manzoom Taassuraat:Barqi Azmi

Ahmad Ali Barqi Azmi's Naat Recited By Asif Qadri

Poetic Tribute To Khwaja Jawed Akhtar یادِ رفتگاں : بیاد خواجہ جاوید اختر


Khwaja Javed Akhtar

Rooh-e-Sukhan







भर दे दिल मेँ यह दिवाली आपके ख़ुशियोँ के रंग: डा. अहमद अली बर्की आज़मी


مبارک ہو سبھی اہلِ وطن کو جشنِ آزادی



MUBARAK HO SABHI AHL E WATAN KO JASHN E AAZAADI
AHMAD ALI BARQI AZMI
CHALO MIL KAR MANAEIN AAJ HUM SAB JASHN E AAZAADI
WOH AAZADI NA HO JIS MEIN KISI KI KHANA BARBADI

YEH DEKHEIN HUM NE KYA PAYA HAI 65 SAAL MEIN AB TAK
DUA HAI YEH NAZAR AAYE SABHI CHEHRON PE SHADABI

NAMUNA SAMNE SAB KE HO MOHAN DAS GANDHI KA
NA HO AALOODAH KHOON MEIN ZEB E TAN HAI AAJ JO KHADI

HAI SAB KA FARZ DEKHEIN JHANK KAR APNE GAREEBAAN MEIN
KAHAAN TAK HUM HAIN AMALI ZINDAGI MEIN ADL KE AADI

"JIYO AUR JEENE DO '' KE FALSAFE PAR HON AMAL PAIRA
NA HO TARZ E AMAL SE APNE NALAAN KOII AABADI

KIYA HAI ZIKR JIS KA EK GHAZAL MEIN MIRZA GHALIB NE
NAZAR AAYE KAHIN KOII NA HARGIZ NAQSH E FARYADI

HO SAB KI DASTARS MEIN ROTI, KAPDA AUR MAKAAN BARQI
MUYASSAR HON YEH ASHYA E ZAROORI SAB KO BUNIYADI



Dhhai Akshar Prem Ke... ढाई अक्षर प्रेम के....AAJ (3/8/2012) KE MISRAH E TARH PAR MERI KAVISH
AHMAD ALI BARQI AZMI
MUNH PHER LIYA KYON MUJHE BEGANA SAMAH KAR
APNA LE MUJHE APNA TU DIWANA SAMAJH KAR

MAHROOM NA KAR DAWAT E NAZZARAH SE MUJH KO
SHAMA E RUKH E PUR NOOR KA PARWANA SAMJH KAR

SARSHAR KIYA TERI NIGAHON NE KUCHH AISA
"MASTI MEIN CHALE AAYE HAIN MAIKHANA SAMAJH KAR"

IS DIL KE SIWA AUR MAIN KUCHH DE NAHIN SAKTA
LILLAH ISE LE LE TU NAZANA SAMAJH KAR

VEERAN HAI MUDDAT SE MAERA KHANA E DIL YEH
AB AA BHI JA APNA ISE KASHANA SAMAJH KAR

BEGANON SE SABIT HUE BADTAR MERE APNE
MUNH PHER LIYA KARTE HAIN ANJANA SAMAJH KAR

RINDAN E BALA NOSH KHINCHE AATE HAIN BARQI
US KI NIGAH E NAAZ KO PAIMANA SAMJH KAR



Ghazal : Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Kaif o masti se haiN sarshaar tumhaari aankheiN
Deti haiN daawat e deedaar tumhari aankheiN

Ho gaii salb usi din se meri taqat e sabr
Mujh se jis din se hueiN chaar tumhari aankheiN

un se roshan hai meri shama e shabistaan e hayaat
haiN meri munis o ghamkhwar tumhari aanheiN

Dekhta rahta hooN maiN saakit o saamit un ko
Hoti haiN jab kabhi khoonbaar tumhari aankheiN

Deti haiN izn e safar mujh ko bayak jumbish e chashm
HaiN mere waqt ki raftaar tumhaari aankheiN

MaiN kahoon ya na kahooN ahl e nazar par hai ayaaN
Hasrat e dil ka haiN izhaar tumhari aankheiN

Khol kar jalwah gah e naaz meiN dar wazah e dil
Dil pe karti haiN mere waar tumhari aankheiN

Lazzat e kaam o dahan sab ke liye haiN yaksaaN
Ba'is e garmi  e baazaar tumhari aankheiN

Aatash e rask meiN jal bhun ke huii hai andhi
Dekh kar nargis e bimaar tumhaari aankheiN

Rooh farsa hai judaaii ka tasawwur Barqi
Karti haiN khwab se bedaar tumhari aankheiN