Poetic Tribute to Our Late Ex .President Dr. A.P. J. Abdul kalam :Ahmad Ali Barqi Azmi


Poetic Tribute to Our Late Ex .President Dr. A.P. J. Abdul kalam
HO GAYE RUKHSAT JAHAAn SE A.P.J ABDUK KALAM
AHMAD ALI BARQI AZMI
KITNI HAI MANHOOS 27 JULY KI SHAAM
HO GAYE RUKHSAT JAHAAN SE A.P.J ABDUL KALAM
APNE TARZ E KAAR SE THE SAB MEIN WOH HAR DIL AZEEZ
UN KA ABNA E WATAN KARTE THE BEHAD EHTERAM
MARDW MISSILE BHI THE WOH AUR SADR E MUMLIKAT
ASHHAB E SCIENCR KI THI UN KE HATHOn MEIN LAGAM
UN KA THA YEH TARGET AAINDA 13 SAAL MEIN
HIND KA HOGA TARAQQI YAFTA MULKON MEIN NAAM
CHAHTE THE IS LIYE WHO TECHNOLOGY KA FUROGH
TA KI HO FIKR O AMAL KA IS SE MUSTAHKAM NIZAM
MULK O MILLAT KI TARAQQI UN KA NASBUL AIN THA
JARI O SARI RAHE GA UN KA YUNHI FAIZ E AAM
NAU NIHALAN E WATAN SE UN KO THA BEHAD LAGAAO
UN KI SHAFQAT SE SABHI CHHOTE BADE THE SHADKAAM
KAAM SE THE APNE WOH SARE JAHAANMEIN SAR BULAND
AALAMI TAREEKH MEIN RAUSHAN RAHE GA UN KA NAAM
KARTE KARTE NAGAHAAN TAQREER RUKHSAT HOGAYE
JANNATUL FIRDAUS MEIN UN KO MILEAALA MUQAAM
KHAKSARI KA THI PAIKAR UN KI AMALI ZINDAGI
PESH KARTA HAI UNHEIN AHMAD ALI BARQI SALAM

شاید آپ کو یہ بھی پسند آئیں