DIYA DILON MEIN HO JALWA NUMA DIWALI KA:AHMAD ALI BARQI AZMI

DIYA DILON MEIN HO JALWA NUMA DIWALI KA
AHMAD ALI BARQI AZMI
SUROOR SAB PE HAI CHHAYA HUA DIWALI KA
SABHI KE SAR PE CHADHA HAI NASA DIWALI KA

MANA RAHE HAIN SABHI JASHN KAMRANI KA


NISHAT BAKHSH NA KYON HO MAZA DIWALI KA

NISHAN E TEERGI MIT JAYE KAASH DUNIYA SE
RAHE HAMESHA YEH ROSHAN DIYA DIWALI KA

MANAEIN SHAH O GADA MIL KE JASHN E DIWALI
DIYA KOII NA HO CHHOTA BADA DIWALI KA

KISI KA GHAR NA JALE SAB HON SHAD AUR AABAAD
SAMAAN NAZAR MEIN RAHE JA BAJA DIWALI KA

MAIN PESH KARTA HOON HAR SHAKHS KO MUBARAKBAD
DIYA DILON MEIN HO JALWA NUMA DIWALI KA

HAI SIDQ DIL SE HAMESHA DUA YEH BARQI KI


BAR AAYE KAASH JO HAI MUDDA,AA DIWALI KA

یہ حسیب اعجاز عاشر کا ہے لطفِ خاص جو : احمد علی برقی اعظمی

BHAR DE DIL MEIN YEH DIWALI AAP KE KHUSHIYON KE RANG

BHAR DE DIL MEIN YEH DIWALI AAP KE KHUSHIYON KE RANG

AHMAD ALI BARQI AZMI
BHAR DE DIL MEIN YEH DIWALI AAP KE KHUSHIYON KE RANG
AAP KE IS RANG MEIN PADNE NA PAYE KOII BHANG

JO JAHAAN HO US KO HASIL HO WAHAAN ZEHNI SUKOON
DOOR HO JAYE JAHAAN SE BUGHZ O NAFRAT AUR JANG

APNE DIL KO SAAF RAKHIYE AAP MISL E AAINA
AAP KI SHMASHEER E IMAAN PAR NA AANE PAYE ZANG

HAI ZAROORAT WAQT KI AAPAS MEIN RAKHIYE MEL JOL
BHAAII CHARA DEKAR SAB AAP KA HO JAEIN DANG

AAIYE AAPAS MEIN MIL KAR YEH PARATIGGYA HUM KAREN
RANG MEIN APNI DIWALI KE NA PADNE DEIN GE BHANG

MAHFIL E SHER O SUKHAN MEIN JASHN KA MAHAUL HAI
KIJIYE NAGHMA SARAAII AAP BARQI LE KE CHANG