Munhasir Hai Aaj Internet Peh Duniya kaNizam
Munhasir hai aaj Internet peh duniya ka nizamAshhab e dauran ki hai ab iske hathon mein lagam
"World Wide Web" mein hai mumtaz "Google.Com"
Istefadad kar rahe hain aaj jis se khas o aam
Sab sawalon ka tasalli bakhsh deti hai jawab
Is liye mashhoor hai sare jahan mein iska naam
Hain "Rediffmail" aur "Yahoo" bhi nehayat Kargar
Jari o sari hai unka bhi sabhi par faiz e aam
Hain wasilah rabte ka yeh sabhi "Websiteein"
Kar rahi hain khidmat e khalq e khuda jo subh o sham
Faslah kuchh bhi nahin hai aaj qurb o bod mein
Chand lamhon mein kahin bhi bhej sakte hain payam
Form bharna ho koi ya book karana ho ticket
Aaj "Internet" se hai maqool iska intezam
Har jagah hai " On Line" yeh sahoolat Dastyab
"Bank" ho "School" ho ya "Railway" ka "platform
""Radio"," Akhbaar", "TV", "Media"Ahle Nazar
Istefadah kar rahe hain aaj is se sab mudam
Hai muaavin aaj yeh "Science" ki tahqeeq mein
"Technology" main bhi is se le rahe hain log kaam
Qafelah tahqeeq ka jab tak rahega gamzan
Kaam aayega musalsal iska husn e intezam
Hain yeh "Website"Zaroorat waqt ki "Ahmad Ali"
Is liye ahl e nazar karte hain inka ehtemam