Hind MeiN Jamhooriyat ke saath Saal
Hind MeiN Jamhooriyat ke saath Saal
Ahmad Ali Barqi Azmi
Hind meiN jamhooriyat ke saath saal
Ahd e nau meiN aaj haiN ek nek phaal
Hai DarakhshaaN is ka maazi aur haal
Is ki azmat ke nishaaN hain la zawaal
Hai jahaaN bhi aaj jamhoori nizaam
Dete haiN ahl e nazar is ki misaal
In guzashtah saath saaloN meiN yahaaN
Fikr o fun ka baar aawar hai nehaal
Hai yeh aqsaa e jahaaN meiN sar buland
KyoN na haasil ho ise auj e kamaal
IT meiN yeh sar e fihrist hai
Jo hai fikr o fun ka dilkash ittesaal
Dekh kar ahl e nazar haiN dam bakhud
Is ki tahzeebi rawaayat ka jalaal
Is ke haiN fitri manazir dilfareb
Hai yeh ek mashshatah e husn o Jamaal
Hai dua meri basad ijz o neyaaz
HooN na yeh jamhoori qadreiN paimaal
Amn e aalam ka ho yeh Barqi naqeeb
Is ko haasil ho urooj e la zawaal