TOPICAL POETRY ON HOLI:AHMAD ALI BARQI AZMI


POETRY ON HOLI
Ahmad Ali Barqi Azmi

AAYI HOLI KHUSHI KA LE KE PAYAM
AAP SAB DOSTO'N KO MERA SALAM

SAB HAI'N SARSHAAR KAIFO MASTI MEI'N
AAJ KI HAI BAHUT HASI'N YEH SHAAM

SAB RAHE'N KHUSH YEHI DUA HAI MERI
HAR KOI DOOSRO'N KE AAYE KAAM

BHAI CHAARE KI HO FIZA AISI
BADAE ISHQ KA PIYE'N SAB JAAM

HO NA TAFRIIQKOI MAZHAB KI
JASHN KI YEH FIZA HO HAR SOO AAM

AMAN AUR SHANTI KA HO MAHAUL
JANG KA KOI BHI NA LE AB NAAM

RANG MEI'N AB PARHE NA KOI BHANG
SAB KARE'N AIK DOOSRE KO SALAM

RAHE'N MILJUL KE LOG AAPAS MEI'N
AAJ "BARQI" KA HAI YEHI PAIGHAM.

شاید آپ کو یہ بھی پسند آئیں