A TOPICAL  URDU POEM ON FRIENDSHIP DAY:AHMAD ALI BARQI AZMI

DOSTI KA KAREIN NA KYON IZHAR
JIS SE HAI BAGH E ZINDAGI MEIN BAHAR

DOSTI SE HAIN AHL E DIL SARSHAR
KYON NA IS KI FIZA KAREIN HAMWAR

GAR MELEIN TO KHULOOS E DIL SE MILEIN
DOSTI KO BANEIN MAT VYAPAR

JAZBAH E DOSTI KO AAM KAREIN
JIS PE HAI SULH O AASHTI KA MADAR

CHAR DIN KI HAI CHANDNI SAB KUCHH
MAHASAL ZINDAGI KA HAI BAS PYAR

MEHR O ULFAT HAI MISL E GHAZAH E HUSN
PYAR SE HUSN E ZINDAGIKO SANWAR

CHASHM E BATIN SE DEKH AYE BARQI
HAR TARAF PYAR KE HAIN NAQSH O NIGAR

شاید آپ کو یہ بھی پسند آئیں