Ghazal :Afsanah e Hayat Ka Unwaan Tmheen To Ho
Ghazal :Afsanah e Hayat Ka Unwaan Tmheen To Ho
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Afsanah e hayaat ka ubwaan tumhin to ho
Taar e nafas hai jis se ghazalkhwaan tumhin to ho
Roshan hai tum se shama e shabistan e aarzoo
Mere neshaat e rooh ka saamaan tumhin to ho
Aabaad tum se khanah e dil tha mera magar
Jis ne kiya hai ab use veeraan tumhin to ho
Kuchh to bataao mhjh se ki aakhir kahaan ho tum
Noor e nigaah e didah e hairaan tumhin to ho
Main dekhta hoon bazm e negaaraan mein har taraf
Jo hai meri nigaah se pinhaan tumhin to ho
Karte ho baat baat mein kyon mujh se dil lagi
Jis ne kiya hai mhjhko pareshaan tumhin to ho
Kyon le rahe ho meri mohabbat ka imtehaan
Loota hai jis ne mera dil o jaan tumhin to ho
Hai mausam e bahaar mein bekaif zindagi
Mashshatah e uroos e bahaaraan tumhin to ho
Barqi ke intrzaar ki ab ho gaii hai had
uske tasawuuraat mein raqsaan tumhin to ho