Ghazal :Aao husn e yaar ki batein karein
Ghazal
Ahmad Ali Barqi Azmi
Aao husn e yaar ki batein karein
Ishq ke izhaar ki batein karein
Kuchch lab o rukhsaar ki batein karein
Pyar aur takraar ki batein karein
Saaz e dil woh jiski tu mizraab ho
Saaz ke us taar ki baatein karein
Daastan e zindagi ke kyon na ham
Markazi kirdaar ki batein karein
Ghamzah o naaz o ada husn e nazar
Shewah e guftaar ki batein karein
Aaj ham jab saath hai to kis liye
Apne haal e zaar ki batein karein
Bhool kar sab zindagi ke ranj o gham
Gulshan o gulzaar ki batein karein
Hijr mein ham par jo guzri bhool jaein
Phir vesaal e yaar ki batein karein
Bhool kar shikve gile ho jaein ek
Aaj kyon bekaar ki batein karein
Chod kar bughz o hasad fitnah fasaad
Aao sab se pyaar ki batein karein
Zindagi pazeb ki jhankaar hai
Kyon na us jhankaar ki batein karein
Dr.Ahmad Ali Barqi ke hum
Dilnasheen ash’aar ki batein karein