Ghazal:Ahmad Ali Barqi Azmi
GHAZAL
Dr.AHMAD ALI BARQI AZMI
Hai uski fitrat mein bewafaaii woh jab bhi milta hai be rukhi se
Pasand hai usko khud numaaii lagao usko nahin kisi se
Woh baitha rahta hai yunhi gum sum main dekhta hoon yeh bebasi se
Kahoon to kise kahoon yeh us se raha kare woh hansi khushi se
Woh pahle aisa kabhi nahin thaa na jane kya ho gaya hai usko
Kisi ne kuchh kah diya hai shayad woh mujh se hai badgumaan tabhi se
Beghair uske bujha bujha hai bahaar ka khushgawar manzar
Gaya hai naraz ho ke jab se woh mere gulzar e zindagi se
Sab usko hairat se dekhte hain yeh haal hai uska dars e ibrat
Yahi hai anjam e ishq BARQI to baaz aaye ham aashiqi se
Wahi samajhte hain qadr o qeemat jahaan mein aijaz e fikr o fan ki
Jo asr e haazir mein bahrah war hain shaoor o faizan e aagahi se