غزل:بربادیوں کا جشن مناتا چلا گیا
Ghazal
Dr. AHmad A'li Barqee AA'z^mee
a'hd-e-wafaa maiN jitnaa nibhaa taa chalaa gayaa
utnaa hee mujh se door woh jaataa chalaa gayaa
thaa mere dil meiN jo woh sunaataa chalaa gayaa
mehr-o-wafaa ke geet maiN gaataa chalaa gayaa
lekin huwaa nah us peh kisee baat kaa acar
naam-o-nishaaN woh meraa miTaataa chalaa gayaa
maiN is ummeed meiN keh woh shaayad ho mehrbaaN
"barbaadiyoN kaa jashn manaataa chalaa gayaa"
lekin sitam z^areefeey-e-Haalaat dekhie,y
koi,y nah koi,y gul woh khilaataa chalaa gayaa
tarkash meiN jitne teer the uske woh pay ba pay
un kaa hadaf mujhe woh banaataa chalaa gayaa
Haalaat se hameshah naburd aazmaa rahaa
maiN baar-e-zindagee ko uThaataa chalaa gayaa
maeree wafaa se qat^a' naz^ar woh sitam shaa'aar
apnee naz^ar se mujh ko giraataa chalaa gayaa
maeraa junoon-e-shoaq kabhee kam naheeN huwaa
khwaabidah HasratoN ko jagaataa chalaa gayaa
naakaamiyoN se kam nah huwaa maeraa HoSlah
:barqee: qadam maiN aage baRhaataa chalaa gayaa
Offline
Gender:
Posts: 2415
Re: غزل:بربادیوں کا جشن مناتا چلا گیا
« Reply #6 on: Yesterday at 09:59:28 pm »
________________________________________
Quote from: khurshidul Hasan Naiyer on Yesterday at 09:58:45 am
muHtaram Dr. Barqee
salaam-o-raHmah
aap kee Ghazal ka kiyaa kahnaa hai bahut hee shaandaar hai Dr. Sb bahut hee khoob hai. aap kee naz^ar yeh do miSra' hai jo aap kee Ghazal peh daad to naheeN hai lekin zabaan par aagayaa hai to likh de rahaa hooN.
motee-e-Gham ko taar-e-Ghazal meiN piro ke woh
aHbaab ko hunar yeh sikhaataa chalaa gayaa.
aap kee GhazleN is anjuman ko roshan kartee haiN or ham jaise mashqe sukhan karne waaloN ke liye masha'l-e-raah kaa kaam kartee haiN bahut kuchh seekhne ko miltaa.
ek baar phir dilee daad HaZir hai qubool farmaae,N
t^aalib-e-dua'aa
Khurshidul Hasan Naiyer
biraadaram Khurshid SaaHeb:aadaab!
Barqi SaaHeb kee ta'reef meN aap kaa she'r bajaa hai. maiN in se milaa hooN. saraapaa aKhlaaq aur sharaafat kaa paikar haiN. Farsi ke a'alim haiN aur f.ilbadeeh ash,a'ar betakaan kehte haiN-Urdu meN bhee aur Farsi meN bhee! aap ke jaZbaat kee maiN taayeed kartaa hooN.
ek baat aur a'rZ^ karnaa chaahataa hooN. aap ne :motee-e-Gham: baaNdhaa hai jo ma'nee ke liHaaz^ se baa-mauqa' hai lekin apnee bunat meN naaqiS hai. Arabee aur Farsi ke alfaaz^ ko kasrah-e-iZ^aafat (ya'nee iZ^aafat kee zer) se joR kar tarkeeb banaanaa to a'am bhee hai aur qaabil-e-qubool bhee. lekin :motee: Hindi/Hindustanee kaa lafz^ hai aur :Gham: Farsi kaa. in ke darmiyaan iZ^aafar naheeN aa saktee hai. yeh wohee Soorat hai jo :lab-e-saRak: kee hai! aap yooN keh sakte haiN:
motee GhamoN ke taar-e-Ghazal meiN piro ke woh
aHbaab ko hunar yeh sikhaataa chalaa gayaa
ummeed hai keh raawee sab chain boltaa ho gaa!
Sarwar A. Raz :Sarwar