GHAZAL : Qalb Hai Mera Ishq Se Sarshaar
GHAZAL : Qalb Hai Mera Ishq Se Sarshaar
DR.AHMAD ALI BARQI AZMI
Qalb hai mera ishq se sarshaar
Kis tarah iska main karoon izhaar
Kuchch bhi sunne ko jo na ho tayyar
Us se hai arz e mudd’aa bekaar
Jabhi iqraar hai kabhi inkaar
Uske tarz e amal se hoon bazaar
Kab tak aakhir sahoon main uske waar
Mujh se nahaq hai bar sare paikaar
Samne aaye to sahi mere
Gul khiaye gi baahami takraar
Aana hota agar to aa jaata
Sirf karta hai wadah e deedaar
Samne aaya nagahaan ek din
Kya bataa’oon main apna haal e zaar
Dekh kar usko ho gaya bekhud
Jab huein us se meri aankhein chaar
Neend aankhon se ho gaii kaafoor
Main hoon uske feraaq mein bedaar
Naqsh hain lauh e qalb par mere
Rukh e zeba ke uske naqsh o negaar
Khanah e dil mein ab naheen hai woh
Le gaya saath mera sabr o qaraar
Gham gusaari ka dam jo bharta thaa
Mera BARQI naheen hai woh ghamkhwaar