Nazar Se Us Ne Giraayaa To Aankh Bhar Aaii


Ghazal: Aankh bhar Aaii
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Woh hasb e wada na aayaa to aankh bhar aai
Mujhe tamasha banaya to aankh bhar aaii

Saja ke rakhta thaa palkoN pe jis ko main aksar
Nazar se us ne giraayaa to aankh bhar aaii

Hamesha karta tha meri jo naaz bardaari
Usi ka naaz uthaaya to aankh bhar aaii

Jise samajhta tha main dil nawaaz jab us se
Sukoon e qalb na paaya to aankh bhar aaii

Woh mujh se bharta tha dam dosti ka lekin jab
Udoo se haath milaaya to aankh bhar aaii

Na thaa yeh wahm o gumaaN mujh ko woh bulaye ga
Magar jab us ne bulaaya to aankh bhar aaii

NahiN hai shikwa koii doston se aye Barqi
Fareb dost se khaayaa to aankh bhar aaii

شاید آپ کو یہ بھی پسند آئیں