عالمی منظرنامہ بصورت غزل
aalami manzar-naamah ba-suurat Ghazal
fitna-o-sharr kaa hai wo paikar khulaa
rakhiye zehn-o-fikr kaa ye dar khulaa
roz-e-meHshar kaa tasavvur kyaa kareN
har taraf barpaa hai ik meHshar khulaa
ham sunaayeN kis ko apnaa Haal-e-zaar
dushman-e-jaaN hai wo chaarahgar khulaa
hai ba-shakl-e-nazm meri ye Ghazal
jis kaa hai soz-e-daruuN mazhar khulaa
Mirza Ghalib kitne duur-andesh thay
b`aad unn ke, unn kaa ye jauhar khulaa
aaj Hasb-e-Haal hai unn kaa ye qaul
“dete haiN dhokaa ye baaziigar khulaa”
unn ka nasb-ul-`Ain hai makr-o-fareb
aaj Khatrah hain ye ahl-e-zar khulaa
zad meN hai inn ki nizaam-e-kaa`enaat
pur Khatar hai aalamii manzar khulaa
hain ba-zaahir dost dar-pardah magar
aastiiN meN rakhte haiN Khanjar khulaa
apne gird-o-pesh par rakhiye nazar
ho na jaaye nazr-e-aatish ghar khulaa
amn-o-sulah-o-aashiqii ke naam par
shar-pasandii kaa hai ye meHvar khulaa
mashriq-e wasta hai `ibrat kaa maqaam
hai jahaaN sargarm wo Khudsar khulaa
ab junuubii Asia par hai nazar
kyuuN ki hai ye eik ganj-e-zar khulaa
uss ki fard-e-jurm hai be-Had taveel
shar-pasandii kaa hai wo rahbar khulaa
Kaifar-e-kirdaar tak pahuNchegaa wo
jab bhi uss ke jurm kaa daftar khulaa
woh sitam-eejaad hai, Ahmad Ali
zulm-o-istabraad kaa Khuugar khulaa
~Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
=================================================