غزل: جب مرے سامنے تیرا رخ زیبا ھوگا




GHAZAL: Jab Mere Samne Tera Rukh e Zeba Hoga
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Jab mere samne tera rukh e zeba hoga
Tab kaheen ja ke shab e gham ka savera hoga

Hai mera khanah e dil Tere liye chashm baraah
Tu na aayega agar kaise guzara hoga

Kis tarah mere guzarte hain shab o roz na pooch
Hoga mahsoos tujhe jab kabhi tanha hoga

Gulbadan ,ghuncha dahan,zohra jabeen, jaan e ghazal
Kitna purkaif o haseen tera nazara hoga

Hai teri jalwah gah e naaz o ada hosh ruba
Sochta hoon main sarapa tera kaisa hoga

Hai mujhe josh e junoon mein bhi tera paas o lehaaz
Tu ho ruswa yeh mujhe kaise gawaara hoga

Yeh teri zulf e girahgeer hai gharatgar e hosh
Tujh ko mashshatah e fitrat ne sanwara hoga

Tera jana hai khezaan aur tera aana hai bahaar
Tu na hoga to yeh bekaif nazara hoga

Teri tasveer e tasawur hai nehayat purkaif
Hoga kya rubaru jab bhi tera jalwa hoga

Laya yeh soz e duroon rang bilaakhir Barqi
Ab tere samne woh husn e dilaara hoga


غزل: جب مرے سامنے تیرا رخ زیبا ھوگا

شاید آپ کو یہ بھی پسند آئیں