GHAZAL : DR.AHMAD ALI BARQI AZMI
GHAZAL
DR.AHMMAD ALI BARQI AZMI
Jalwagah e husn e fitrat hai nishan e zindagi
Su e manzil gamzan hai karwan e zindagi
Mahram e raz e azal hain rahrawan e raah e shauq
Ahl e dil jo hain samajhte hain zaban e zindagi
Hai junoon e inteha e shauq mera khizr e raah
Haath mein hai jiske ab meri kamaane e zndagi
Ek gham ho to bataaun tujhse main aye hamnashin
Lamha lamha de raha hoon imtehaan e zindagi
Ek toofan e hawadis aa rahaa hai baar baar
Ud na jaaye sar se mere saibaan e zindagi
Muntashir hai ab kitaab e zindagi ka har waraq
Hai mera sooz e duroon sharh e bayaan e zindagi
Rang jab layega mazloomon ki aanhoon ka asar
Gir padega us ke sar par aasmaan e zindagi
Zulm ka Ahmad Ali ho jaayega suraj ghuroob
Koi phir hoga na uska nauha khwan e zindagi