Ghazal :Mushaira urdubandhan:Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi




moHtaram Ahmad Ali Barqi Azmi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Mushae'rah meN aap kee shirkat se jis qadar mujhe khushee aor masarrat kaa eHsaas huwaa hai. use alfaaz^ meN bayaaN karnaa ju-e-sheer lana hai. meree dilee kaefiyat kaa andaazah Sirf maiN hee kar saktaa hooN. so aap kee tashreef aawaree jahaN ham sab ke liye baae'c-e-khushee hai. wahaN aap kee yooN bharpoor aamad baae'c-e-iftekhaar bhee hai. mujhe ummeed hai keh aap yooN hee tashreef laate raheeN ge aor apnee be panah she'eree aor takhleeqee SalaHiyatooN se ehl-e-mejlis ko mustafeed farmaate raheeN ge. inshAllah!

Aap kee t^arHee Ghazal HaseeN alfaaz^ aor purkashish tarakeeb kaa HaseeN imtejaaz hai. jazbah-o-kheyaal jawaN hai. khud aa'temaadee jo aap ke lab-o-lehjah kee pehchaan hai. kalam se Saaf z^aahir hai. zer-e-naz^ar kalam meN saadagee meN purkaaree paedah karne kaa kaamyaab tajrubah kiya geya hai. jo apnee jagah laai'q-e-daad hai. bahai'ciyat-e-majmua'ee Ghazal Ganjeenah-e-lafz^-o-mua'nee bhee hai aor mataa'-e-ranG-e-taGhazzul bhee. har miSra' qaabil taoSeef hai. is meN shubah kee koee gunjaai'sh naheeN keh aap ne apnee zood gaoee ke saath saath fannee pukhtagee ko haath se naheeN jaane diya. aor e'Sree rujHaanaat qalabee waardaat aor TaGhazzul kee chaashnee ne Kalam meN hamAahangee aor nudrat-e-bayaaN kee Aamezish shaamil kar dee hai. jis kee wajah se Ghazal dilkash aor SeHer angeez ho gaee hai.

meree jaanib se is kaamyaab shahkaar kee takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Muzaffar AHmad Muzaffar
Admin
urdubandhan

شاید آپ کو یہ بھی پسند آئیں