Nazm In The Form Of Ghazal :Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
moHtaram Barqi SaaHib aadaab!
kese mizaaj haiN. aap kee naz^m baSurat-e-Ghazal dekhee kiya kehne rawaane aor barjastagee kee aek raoshan aor taabindah micaal hai. re'naaee-e-kheyaal aor parwaaz-e-takhaiyyul apnee jagah qaabil-e-daad hai. e'laawah azeeN sehle-e-mumtina' meN aek achchee koshish hai. sabhee asha'aar dil ko chu gae. meree jaanib se is kaamyaab takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
MoHtaram Barqi saheb
aadaasb.
MoHtaram Barqi saheb
aadaab arz hai !
aapkee ghazal paRh kar vafoor.e shoq meiN mubtilaa ho janaa aik fitratee radd.e amal hai.
ghazal iss qadar asarpazeer huee hai k dil kee shaguftgee ke roo.ba.roo gul.e nargis bhee rashk rakhtaa nazar aataa hai.
har sher aapkee pukhtaa mashqee aur baland parwaaz.e takhayyul kaa vo aaienaa hai k har qaaree ba.har soorat apnee eHsaas.e khudee aur mardanaa nematoN ko ba.awwaz.e baland doHrataa dikhaaee detaa hai.
sher kaa har lafz khayaal ke hamraah bayaan kee kaifiyat se laberz hai aur rawaanee vo ke dariyaa.e sukhan bahaaye liye jaatee hai.
ghazal kee khusoosiyat sanjidgee ko purasar saadgee meiN adaa karnaa hai aur aap iss fan meiN kaamyaab haiN.
meri jaanib se aik nihaayat
khoobsoorat aur dilkash ghazal par daad aur mubaarakbaad qabool kareN.
PK Swami