Ghazal For Mushaira "BARKHA BAHAAR" By Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Khil utha dil misl e ghunchah aate hi fasl e bahaarAaise mein sabar aazma hai mujhko tera intezaar
Aa gaya hai barishon mein bheeg kar tujh par nikhaar
Hai nehaayat rooh parwar teri zulf e mushkbaar
Jalwah gaah e husn e fitrat hai yeh dilkash sabzah zaar
Sab se badh kar meri nazron mein hai lekin husn e yaar
Zindagi bekaif hai mere liye tere baghair
gulshan e hasti mein mere tere dam se hai bahaar
Hai judaai ka tasavvur aise mein sohaan e rooh
aa bhi ja jaan e Ghazal mausam hai behad khushgawaar
Ghunchah o gul hans rahe hain ro raha hai dil mera
Imtehaan leti hai mera gardish e lail o nahaar
Saaz e fitrat par ghazalkhwan hai bahaar e jaan fiza
Kaif o sarmasti se hain sarshaar BARQI barg o baar
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi